VuBrasicaWeb
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


Student's Community online Studies
 
HomePortalGalleryLatest imagesSearchRegisterLog in

 

 Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.

Go down 
AuthorMessage
imran rana




Posts : 10
Join date : 2011-03-31

Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi. Empty
PostSubject: Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.   Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi. EmptyThu Mar 31, 2011 4:34 am

Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.
Dil ko khushi k saath saath, hota raha malaal bhi.

Baat wo aadhi raat ki, raat wo purey chand ki;
Chand bhi ain chait ka, uspe tera jamaal bhi.
Sab se nazar bacha k wo, mujh ko kuch aise dekhta;
Aik dafa tu ruk gahi gardish-e-mah-o-saal bhi.
Dil tu chamak sakey ga kia, phir bhi tarash k dekh lain;
Sheesha garan-e-shehar ke haath ka yeh kamaal bhi.
Usko na paa sakey thay jab, dil ka ajab haal tha;
Ab jo palat k dekhiye, baat thi kuch muhaal bhi.
Meri talab tha ek shaks, wo jo nahi mila tu phir;
Haath dua se yuon gira, bhool gaya sawaal bhi.
Uski sukhan taraziyan, mere liye bhi dhhal thein;
Uski hansi main chup gaya, apne ghamon ka haal bhi.
Gah-e-kareeb shahrag, gah-e-baeed wehm-o-guman;
Uski rafakaton mein raat, hijar bhi tha wasaal bhi.
Shaam ki nasamjh hawa, pooch rahi hai ek pata;
Moj-e-hawa-e-ko-e-yaar kuch tu mera khiyaal bhi
Back to top Go down
 
Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» very nice kalam Kuch aysa kr dy
» ♥ Jab Tera Dard Merey Saath Wafa Karta Hai ♥

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
VuBrasicaWeb :: Urdu poetry-
Jump to: